Hazaaron dost banae maine ek uski talaash mein, palkein bichaadi uske aane ki raah mein
Aaya nahi abhi tak woh na hi uski parchaai, insaanon ki mehfil mein maine paai tanhai
Kyon dhoondta hai dil mera usiko din-raat, shayad kyonki kehni hai usse ek baat
Baat jo na woh jaane na hi jaanu main, isliye shayad rehearsal karta hu akele mein,
Har ek ki zindagi mein aata hai woh pal, dua karo… shayad mera aajaye kal,
Pata nahi hoga kaha woh, kaisa aur kis haal mein, uska haal shayad milta ho mere haal se,
Beqarar hu main uske intezaar mein, aur chaahoonga uski beqarari bas, mere pyaar mein,
Kisse sune hai aap sab ne pyaar mohabbat aur dosti ke, main par mehsoos karna chahta hu woh rang roshni ke
Pata hai har koi itna naseebwala nahi hota, lekin khwahish karne mein insaan kuch nahi khota,
Maine Ishwar se prarthna ki ke mujhe usse milwa de, aur gar woh nahi hai duniya mein to mujhe bhi mita de,
Mujhe yakeen hai Usme ke woh hai har kahi, sunta hai mujhko aur hai samajhta bhi,
Milwayega wohi mujhe mere yaar se, kyonki Use pata hai ke milwa raha hai woh mere Pyaar se